पृष्ठ

शुक्रवार, 2 अप्रैल 2010

Dango Kee Aag Or Khoon Kee Pyas

“Nafrat Na Janey Jaat ,Na Janey kauno Dharm, Uskey to yaari hai hathiyaro say, uskey rahat hai khoon kee pyasi nagriyo say, Apney Kushiyu Ko Auro key Ansoo Say sechtey hai, janey keyu har kisey ko apna dushman samjhtey hai , apno kee maut pay hasti hai or parayo kee barbadi pay khushiyo key ladoo batey phirtee hai janey keyu safaid aurdni pai muskurati hai.”
Kaun hai mulim kaun isai, kahey ko ladtey ho hindu bhai, wo kehtey hai hum hi hum hai tum kuch nahe
To keyu baithatey hoo ganpati or lakar chaltey ho visarjan pay, keyu miltey ho galey jab hotey hai eed, apa appa khahey kha jatey ho kheer, diwali pay miltey ho galey bhai jan kah key daytey ho izzazat, keyu chotey say bandhwatey ho rakhee , janetey huey kee nafrat hai ab bhi bakee, yeh kaisey hai pyas hai jo bhujhti apney hi bhai key bahtey khoon say, kal ko jiskey haath kee simaya khai usey key suhag pay janey keyu choori chali, jis chotey nay tumko bhai jaan bulaya janey keyu tumney usi ko loota, tum kehtey ho yeh duniya allah kee ibadat hai orr hum kehtey hai yeh bhrama kee dain, tum padhtey ho kuran or hum vaid, hai jab dono ek to keyu hai hum anek. Tumko humney dil mai basaya or jantey hai hum yeh bhi kee tumharey dil mai bhi hum hai to keyu phir ek dosrey key khoon key pyasey hai, chand gaddaro kee suntey hai or apney hi apno ko marety hai, yeh kaisa insaf hai, yeh kesey duniya hai, pal mai bhai lutera banata hai, or beta baap ko marney chalta hai, kasey ek insaan apni hi maa say uske aullad chenta hai or raat ko roti khah key sota hai, keya hai uska zameer keya hai uska imaan. Dharm yeh nahe kehta kee maut key badley apno ko maut kee saza dey dee jayey….
Hindu-Muslim-Sikh-Isai hum sarey hai bhai bhai phir keyu hai yeh ladai. Ek hi desh mai rehtey hai ek hi maa key baitey hai to mera jhandey ka raang terey jhandey say kasey alag, tu kab sab say hara ban gaya or main kab say laal. Kab say terey haath mai talvar agayee or merey haath mai kripan. Jis ghar mai rango key holi khaley jatey thee aaj whan keyu khoon kee holi khali hai.
Aaj keyu behno key haath mai choodi nahe or bhabhi kee mang suni hai , keyu aaj wo apney bhai jaan say dari hui hai or keyu baba apney betey say chup key baithey hai , aaj keyu talwar lakar log is rotey bachey say pooch rahey hai ke bolt u kaun hai , bol tera dharm keya hai, tu hindu hai to main tujhey maronga or nahee to isey tu marliyu. Ek chota sa bacha keya janey kee wo hindu hai kee muslim ya phir sikh kee isai, wo to sirf roo raha hai yeh dekh key uskey chachu nay uskey maa ke seney mai talwar bhok dee orr uskey badley mai uskey baoji nay usey siwaiya khilaney wali khala key key seney mai talwar bhookh dee.
Waisey to shaym badi suhani hotey hai , raat kee audnee mai taro kee tim timahat hotey hai, bech mai mathey mai ek chand kee bindiya hotee hai paar aaj janey keyu yeh Sham manhoos hai, charo taraf dangoo kee aag keyu hai ,orr aaj har ghar mai safeed sadi or ansoo kee aag hai jismai ke dosro key liyey nafrat kee alag say chah keyu hai keya yehi aney waley kal key jagtee tasweer hai.. to jai ho esey desh key or jai ho esey insane kee jo insaniyat ko nafrat key tarazoo mai tolktey huey apno kee maut ke kwaish rakhtey hai. Yeh duniya kiskam ke yeh soch key aaj mujhey keyu sharm atey hai ke main is duniya ka hissa hoo, jhan mai apno ko kee apno say marta dekhta hoo, itne nafrat kaisey khan say aye kee na umar ka takaza hai na kisey key liyey koi rahm hai..... IS THIS WAT V WANT.... PLZ DO THINK 1 AGAIN....

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें